hamare lab pe jab us bewafa ka nam aata hai badi mushkil se qabu mein dil-e-nakaam aata hai hawas-o-hosh ki duniya luta deta hun saqi par qasam allah ki meri taraf jab jam aata hai jafa shewa hai un ka hai shiar apna wafadari unhen wo kaam aata hai hamein ye kaam aata hai nazar aate hain jab do aadmi ahd-e-wafa karte meri aankhon ke aage ishq ka anjam aata hai surahi dar-baghal saghar-ba-kaf pita hua paiham na jaane kaun si duniya se mai-asham aata hai main darta hun na harf aae kahin parda-nashini par laraz jata hun jab lab par kisi ka nam aata hai jo jita hun to un ki shokhiyan jine nahin detin jo marta hun wafaon par meri ilzam aata hai 'salam'-e-sokhta-qismat ki mahfil hai ajab mahfil sitara subh ka ban kar charagh-e-sham aata hai