aish-e-ummid hi se KHatra hai

aish-e-ummid hi se khatra hai
dil ko ab dil-dahi se khatra hai

hai kuchh aisa ki us ki jalwat mein
hamein apni kami se khatra hai

jis ke aaghosh ka hun diwana
us ke aaghosh hi se khatra hai

yaad ki dhup to hai roz ki baat
han mujhe chandni se khatra hai

hai ajab kuchh moamla darpesh
aql ko aagahi se khatra hai

shahr-e-ghaddar jaan le ki tujhe
ek amrohwi se khatra hai

hai ajab taur haalat-e-girya
ki mizha ko nami se khatra hai

haal khush lucknow ka dilli ka
bas unhen 'mushafi' se khatra hai

aasmanon mein hai khuda tanha
aur har aadmi se khatra hai

main kahun kis tarah ye baat us se
tujh ko jaanam mujhi se khatra hai

aaj bhi ai kanar-e-ban mujhe
teri ek sanwli se khatra hai

un labon ka lahu na pi jaun
apni tishna-labi se khatra hai

'jaun' hi to hai 'jaun' ke darpai
'mir' ko 'mir' hi se khatra hai

ab nahin koi baat khatre ki
ab sabhi ko sabhi se khatra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close