apne mein jo ab bhule se kabhi rahat ka taqaza pata hai haalat pe mere kar ke nazar dil mujh se bahut sharmata hai uljhan mein yakayak hoti hai dam rukta hai dil bhar aata hai jab koi tasalli deta hai kuchh aur bhi ji ghabraata hai aaram sarakne wala hai kis shai pe ye gharra hai tujh ko duniya ye badalne wali hai kis chiz pe tu itraata hai elan sahar ko hota hai yun husn ki shahanshahi ka gardun pe sunahra ek parcham mashriq ki taraf lahraata hai andaz-o-ada se ai duniya tu lakh sanwar kar samne aa ye 'josh' faqir aazad-manash jab dhyan mein tujh ko lata hai