aish mazi ke gina haal ka tana de de ghar palatne ke liye koi bahana de de main ne is shahr ko ek shakhs ka hamnam kiya chahe ab jo bhi ise nam zamana de de sang-zadon ko bhi tamir mein shamil kar lo is se pahle ki koi aaina-khana de de us ka rumal bhi majburi tha hamdardi nahin us ko ye dar tha koi aur na shana de de dil ke ujde hue jangal ko pada rahne do ain mumkin hai parindon ko thikana de de