gulon ke dam-e-mohabbat mein aa raha hun main fareb husn-e-majazi ka kha raha hun main kisi ke husn ki taswir khinch kar dil mein tasawwuraat ki mahfil saja raha hun main mujhe talab hi nahin hai kisi masarrat ki khushi samajh ke tera gham utha raha hun main gulon ki bazm se mujh ko na thi koi raghbat tumhaara naqsh-e-qadam dhundhta raha hun main safina gham ka liye jaega kahan yarab muhit-e-zist mein bahta hi ja raha hun main baqa ki fikr na andesha-e-fana 'hamdam' khuda ke jalwe mein khud ko sama raha hun main