aish-o-tarab se kaam na aaram se gharaz diwane ko na gardish-e-ayyam se gharaz ek dil tha us ke pas wo pahle hi de diya ab kya hai us ko aashiq-e-nakaam se gharaz allah re ye shauq-e-mulaqat-e-muddai dekha jo us ko kud pade baam se gharaz ye apne bakht-e-khufta ki sari hain khubiyan jo aa ke so gae wo sar-e-sham se gharaz waiz tu chhed rind-e-kharabaat se na kar jab tujh ko kuchh nahin mai-e-gulfam se gharaz shatranj hai lagi hui chausar bichhi hui mehnat se wasta na kisi kaam se gharaz karni hai apni manzil-e-maqsud tai jise rakhta nahin wo rah mein aaram se gharaz sah sah ke zulm ho gaya iza-pasand dil rakhta nahin main rahat-o-aram se gharaz gumnam shairon mein mera nam hai 'ata' inam se gharaz na mujhe nam se gharaz