ye junun-e-ishq kaam aa hi gaya un ke diwanon mein nam aa hi gaya aarzu-e-paemali muzhda-baad wo but-e-mahshar-khiram aa hi gaya al-madad shauq-e-shahadat phir koi le ke tegh-e-be-niyam aa hi gaya go tahi tha main usi par shad hun mujh tak aakhir daur-e-jam aa hi gaya lo uthe parde harim-e-naz kai lo wo hukm-e-qatl-e-am aa hi gaya uth gai aakhir nigah-e-sharmagin jazb-e-dil ek roz kaam aa hi gaya chashm-e-qatil ne ishaara kar daya hasraton ka ikhtitam aa hi gaya intiha-e-ranj mein tera khayal ban ke rahat ka payam aa hi gaya ho gai maqbul rindon ki dua dekh lo gardish mein jam aa hi gaya aarzuon par laga di bandishen hum ko dil ka intizam aa hi gaya ban gaya 'nami' ghubar-e-rah-e-dost kuchh dil-e-marhum kaam aa hi gaya