bata ai dil ki nalon se hua kya tere rone se wo but dar gaya kya jo tum par mar mita marne se pahle wo kya jaane baqa kya hai fana kya na samjhe hum to ab tak is qadar bhi ki un ki zulf-e-pur-kham hai bala kya wo kahte hain naqab-e-rukh hata kar haya-o-sharm se ab wasta kya mera dil le ke mujh se phir gae tum koi aisa bhi matlab-ashna kya nahin aur han pe apna faisla hai hamari ibtida kya intiha kya khade hain chup dam-e-akhir mere sab atibba kya aziz-o-aqriba kya nahin is daur mein koi kisi ka kisi ki ab shikayat kya gila kya na rakhte ho hunar koi na daulat batao to karoge tum 'ata' kya