aisi nahin hai baat ki qad apne ghat gae chadar ko apni dekh ke hum khud simat gae jab hath mein qalam tha to alfaz hi na the ab lafz mil gae to mere hath kat gae sandal ka main darakht nahin tha to kis liye jitne the gham ke nag mujhi se lipat gae baithe the jab to sare parinde the sath sath udte hi shakh se kai samton mein bat gae ab hum ko shafqaton ki ghani chhanw kya mile jitne the saya-dar shajar sare kat gae 'saghar' kisi ko dekh ke hansna pada mujhe duniya samajh rahi hai mere din palat gae