mahaz-e-nur se yaksar hata diye gae hum misal-e-sham-e-sahari bujha diye gae hum saron ki fasl pe shayad zakat wajib thi so is nisab se ab ke ghata diye gae hum makin-e-khuld hain hum bhi nasab ki nisbat se zamin pe hasb-e-mashiyyat basa diye gae hum visal-o-hijr bhi hain faisle nasibon ke kisi se bichhde kisi se mila diye gae hum badan ke bojh se ek umr tak nidhaal rahe zamin ki god mein aakhir sula diye gae hum