kitne hue hain khun yahan ek usul ke aaenge ab na shahr-e-tamanna mein bhul ke sari musafirat ki thakan dur ho gai pesh aae kitne pyar se kante babul ke chehre hue jo gard to aaina ban gae kya turfa moajizat the sahra ki dhul ke kitna hasin tha jurm-e-gham-e-dil ki do-jahan dar pe hain aaj tak mere rang-e-qubul ke nazan hai zindagi meri ab un ki maut par jo log rah gae teri bahon mein jhul ke aane ko thi bas aakhiri hichki mariz ko qurban jaiye teri shan-e-nuzul ke ai 'dil' ye haal ishq mein hoga khabar na thi pachhtae hum to rog laga kar fuzul ke