aisi tez hawa aur aisi raat nahin dekhi lekin hum ne maula jaisi zat nahin dekhi us ki shan-e-ajib ka manzar dekhne wala hai ek aisa khurshid ki jis ne raat nahin dekhi bistar par maujud rahe aur sair-e-haft-aflak aisi kisi par rahmat ki barsat nahin dekhi us ki aal wahi jo us ke naqsh-e-qadam par sirf zat ki hum ne aal-e-sadat nahin dekhi ek shajar hai jis ki shakhen phailti jati hain kisi shajar mein hum ne aisi baat nahin dekhi ek dariya-e-rahmat hai jo bahta jata hai ye shan-e-barkat kisi ke sath nahin dekhi shahon ki tarikh bhi hum ne dekhi hai lekin us ke dar ke gadaon wali baat nahin dekhi us ke nam pe maren khana ab eazaz hamara aur kisi ki ye izzat auqat nahin dekhi sadiyon ki is dhup chhanw mein koi hamein batlae puri hui kaun si us ki baat nahin dekhi ahl-e-zamin ne kaun sa hum par zulm nahin dhaya kaun si nusrat hum ne us ke hath nahin dekhi