tujhe main ne pa ke jo kho diya ye mere nasib ki chaal hai mere chaara-gar tujhe kya khabar ki bichhadna kitna muhaal hai kisi ghair se meri khairiyat tera puchhna bhi to kam nahin mujhe ye yaqin to ho gaya tujhe ab bhi mera khayal hai uthe zalzale chalin aandhiyan ye charagh phir bhi nahin bujha ye karam nahin kisi aur ka teri rahmaton ka kamal hai hai ajib mod pe zindagi na to gham raha na khushi rahi na ghurur hai na surur hai na uruj hai na zawal hai teri bewafai bhula to dun magar is khayal ka kya karun mere bas mein kuchh bhi nahin raha mere dil ke shishe mein baal hai kahin titliyon ka pata nahin ki parinda koi bacha nahin wahi phul hain wahi khar hain wahi ped hai wahi dal hai wo bichhad ke jine ka faisla to mujhe bujha ke chala gaya na yaqin hai na guman hai na mere labon pe sawal hai yahan har taraf hain numaishen na dilon ka chain na rahaten na wo sadgi na wo dil-kashi na wo husn hai na jamal hai na wo khwab aankhon mein unghte na wo raat jagne ke silsile na wo jangalon ki kahaniyan na wo wahshaton ka ghazal hai