jis ko dekho khwab mein uljha baitha hai apne hi payab mein uljha baitha hai aansu aansu jis ne dariya par kiye qatra qatra aab mein uljha baitha hai bhul ke jauhari apne lal-o-jawahar ko shauq-e-dur-e-nayab mein uljha baitha hai wo jo bagula ban kar udta phirta tha dhaga dhaga sarab mein uljha baitha hai nisf nahaar pe yun lagta hai suraj bhi waqt ki aab-o-tab mein uljha baitha hai yaad-e-kitab-e-shauq na hogi khatm kabhi insan ek ek bab mein uljha baitha hai