dard ki lahar thi guzar bhi gai us ke hamrah chashm-e-tar bhi gai ek talluq sa tha so khatm hua baat thi zehn se utar bhi gai hum abhi soch hi mein baithe hain aur wo aankh kaam kar bhi gai hijr se kam na thi visal ki rut aai bechain si guzar bhi gai zabt ka hausla bahut tha magar us ne puchha to aankh bhar bhi gai