be-irada kucha-e-qatil mein jaana pad gaya phir hamein apna muqaddar aazmana pad gaya kya karoge jab kabhi shahr-e-tamanna mein tumhein hum se be-abaad logon ko basana pad gaya apne bigde khal-o-khad ko aaine mein dekh kar aaina ek aaina-gar ko dikhana pad gaya dekh kar us ka rawayya khud bujhaya tha jise wo charagh-e-arzu phir se jalana pad gaya hiddat-e-jazbaat se jalne laga tha tan-badan phir thapak kar in shararon ko sulana pad gaya kya kahen hum mausamon ke dewta ko kis liye dasht-o-sahra mein bagulon ko sajaana pad gaya dekhna ahl-e-chaman 'shahid' bulaenge hamein jab chaman ko baad-e-sar-sar se bachana pad gaya