ajab ek taur hai jo hum sitam ijad rakhen

ajab ek taur hai jo hum sitam ijad rakhen
ki na us shakhs ko bhulen na use yaad rakhen

ahd is kucha-e-dil se hai so us kuche mein
hai koi apni jagah hum jise barbaad rakhen

kya kahen kitne hi nukte hain jo barte na gae
khush-badan ishq karen aur hamein ustad rakhen

be-sutun ek nawahi mein hai shahr-e-dil ki
tesha inam karen aur koi farhad rakhen

aashiyana koi apna nahin par shauq ye hai
ek qafas laen kahin se koi sayyaad rakhen

hum ko anfas ki apne hai imarat karni
is imarat ki labon par tere buniyaad rakhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close