ajab hai 'mehr' se us shokh ki visal ka waqt wo dopahar ki jo makhsus hai zawal ka waqt meri to khak bhi tere qadam na chhodegi zara tu aane to de apne paemal ka waqt chaman ki sair hai bulbul pade chahakti hain hamare aap ke bhi hai ye bol-chaal ka waqt karo na zikr raqibon ka mujh se rag na lao khata muaf nahin hai ye us khayal ka waqt ab un ki chaal qayamat hai kyun na dil pis jae abhi guzar gaya kabk-e-dari ki chaal ka waqt masal hai aankh bachi mal doston ka hua zamana daulat-e-duniya ka hai khayal ka waqt kahan ye nok-palak phir kahan ye husn-e-shabab idhar ko dekho yahi to hai dekh-bhaal ka waqt duaen denge unhen ye faqir kambal-posh ilahi dur do-shaale ka howe shaal ka waqt