ba-khuda hain teri hindu bu-e-mai-khwar aankhen nashshe ki dori nahin pahne hain zunnar aankhen chashm-e-ahu se gharaz thi na mujhe nargis se teri aankhon se jo miltin na ye do-chaar aankhen chaar-chashm is liye kahta hai mujhe ek aalam ki meri aankhon mein phirti hain teri yar aankhen dekhte rahte hain hum rah tumhaari sahab aap aate nahin aa jati hain har bar aankhen pyar se main ne jo dekha to wo farmate hain dekhiye dekhiye hoti hain gunahgar aankhen chum lete hain wo aaine mein aankhen apni lab masihai karenge ki hain bimar aankhen aagara chhut gaya 'mehr' to chunnar mein bhi dhunda karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen