ajab hai ye qissa kahani mein dam hai ye sab ne kaha tha kahani mein dam hai palat hi raha tha ki pichhe se mere kisi ne pukara kahani mein dam hai meri diary ko jalane se pahle wo kah kar gaya tha kahani mein dam hai safhe hi palatta raha raat bhar main ye rah rah ke samjha kahani mein dam hai kahan chal diye chhod kar ye kahani tumhin ne kaha tha kahani mein dam hai mujhe ek natak mein dekha tha us ne to boli ki aaha kahani mein dam hai kahani mein rote hue mar gaya wo ye kis ne bataya kahani mein dam hai