jami hun barf ki surat pighalna chahti hun main hisar-e-zat se bahar nikalna chahti hun main diya ban kar nihan-khanon mein jalna chahti hun main kisi ki ruh ke sanche mein dhalna chahti hun main juda hoti hi aai hai hamesha 'hir' ranjhe se ab is rasm-e-mohabbat ko badalna chahti hun main main jis mitti se aai hun usi mitti mein milne tak hazaron bar gir kar bhi sambhalna chahti hun main khizan ke dar se ghabra kar palatna chahta hai wo har ek mausam mein jis ke sath chalna chahti hun main mita dala hai yak-jehti ko is firqa-parasti ne kisi surat bhi ye surat badalna chahti hun main main chahti hun ki ban jaun kisi ki aarzu 'mina' kisi ka khwab ban kar dil mein palna chahti hun main