jugnu ke sath sath hi mahtab bhi to hain hum dariya-burd gauhar-e-nayab bhi to hain yun hi nahin hain lal-o-guhar apne hath mein dariya ke hum wajud mein gharqab bhi to hain tum ko to sirf maujon pe hasil hai bartari dariya-e-ku-e-yar mein girdab bhi to hain jaez hain be-qarariyan lekin jaanib-e-dil us ki nawazishon ke kuchh aadab bhi to hain bas ek jhalak dikha ke kahan chal diye huzur in be-qarar aankhon mein kuchh khwab bhi to hain phir kis tarah se pyas ke maron ko sabr ho kuchh log mere sahar mein sairab bhi to hain ye kya ki 'tashna' 'tashna' kahe ja rahe hain aap 'tashna' ke sath sath kuchh alqab bhi to hain