ajab hain surat-e-haalat ab ke hui barsat mein barsat ab ke badan mein phul bhi chubhne lage hain bahut nazuk hain ehsasat ab ke zara chaukanna chaukanna hun main bhi hai duniya bhi lagae ghat ab ke bana dunga tere chehre ka jhumar laga jo chand mere hath ab ke lagi hai shart mere aansuon ki samundar ko milegi mat ab ke 'salim' alfaz bude lag rahe hain hai aisi shiddat-e-jazbaat ab ke