qalb-o-nazar ke silsile meri nigah mein rahe mujh se qarib-tar na the jo teri chah mein rahe qahr-e-khuda ki zad pe kyun aa na sake siyahkar kis ki supurdagi mein the kis ki panah mein rahe surat-e-haal dekh kar sab ko hai fikr ye ki ab jism aman mein ho na ho kaj to kulah mein rahe dar-o-rasan ke faisle sach ke amin hon agar thodi si jurat-e-sukhan harf-e-gawah mein rahe koi sabab to tha ki 'ghaus' fahm-o-zaka ke bawajud kar-e-sawab chhod kar kar-e-gunah mein rahe