ajab insan hun khush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun main jis manzar mein hun gum us ke pas-e-manzar mein rahta hun koi manus chap aae suragh-e-agahi le kar main apni khwahishon ke khana-e-be-dar mein rahta hun jo mujh se meri hasti le gaya tha ek saat mein badi muddat se main us shakhs ke paikar mein rahta hun jo main zahir mein hun wo to sarab-e-zat hai yaro main apne zehn ke but-khana-e-azar mein rahta hun alamat fikr-o-danish ki jahan patthar hi patthar hai meri himmat ki is ahd-e-sitam-parwar mein rahta hun