badi danai se andaz-e-ayyari badalte hain badalte mausamon mein jo wafadari badalte hain girani ho ki arzani unhen to mil hi jate hain zarurat jab bhi hoti hai wo darbari badalte hain zarurat aise ahl-e-dil ki hai ab mere logon ko jo tartib-e-rumuz-e-zindagi sari badalte hain talluq kya faqiran-e-haram ka shahryaron se hum aise log kab apni wafadari badalte hain asir-e-maslahat khud ho gae wo jo ye kahte the purani maslahat hain suraten sari badalte hain chalo ek bar phir dar-o-rasan ki aazmaish ho chalo ek bar phir rasm-e-sitam-gari badalte hain