ajab nahin hai mualij shifa se mar jaen mariz zahr samajh kar dawa se mar jaen ye soch kar hi hamein khud-kushi sawab lagi jo ki hai man ne to phir bad-dua se mar jaen ye ehtijaj samundar ke dam ko kafi hai kisi kinare pe do-chaar pyase mar jaen fasadiyon ko main is shart par riha karunga ki fakhta ke paron ki hawa se mar jaen tu apne lahje ki riqqat ko thoda kam kar de faqir log na teri sada se mar jaen utha ke phirte hain hum aap sirf nam to len qasam se aap to kase ki ka se mar jaen