ajab nahin ki zamin panw se sarak jae hamare sar pe kai din se aasman bhi nahin sharif rah ke guzari gai jawani ka agarche faeda kam hai magar ziyan bhi nahin use qarib se dekhe hue zamana hua suna hai dekhne walon se ab jawan bhi nahin main koi der ko aaya hun is kharabe mein meri nashist nahin hai mera makan bhi nahin 'waqas' le ke kahan jae apni ghurbat ko ki is liye to koi dusra jahan bhi nahin