ajab pagal hai dil kar-e-jahan bani mein rahta hai khuda jab dekhta hai khud bhi hairani mein rahta hai main wo tuta hua tara jise mahfil na ras aai main wo shola jo shab bhar aankh ke pani mein rahta hai koi aisa nahin milta jo mujh mein dub kar dekhe mere gham ko jo mere dil ki virani mein rahta hai hazaron bijliyan tutin nasheman bhi jala lekin koi to hai jo is ghar ki nigahbani mein rahta hai khuda aur nakhuda donon khajil hain haal par mere main wo tinka hun jo aaghosh-e-tughyani mein rahta hai rumuz-e-mumlikat ya rab khirad samjhe ya tu jaane junun mera to shauq-e-chaak-damani mein rahta hai ghazal likhne se kya hoga 'mujibi' kuchh qaside likh sharaf sunte hain ab tarz-e-sana-khwani mein rahta hai