rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya khuddari-e-wafa ka jafa nam rakh diya insan ki jo baat samajh mein na aa saki insan ne us ka haq ki raza nam rakh diya khud-gharziyon ke sae mein pati hai parwarish ulfat ko jis ka sidq o safa nam rakh diya be-mehri-e-habib ka mushkil tha e'tiraf yaron ne us ka naz o ada nam rakh diya fitrat mein aadmi ki hai mubham sa ek khauf us khauf ka kisi ne khuda nam rakh diya ye ruh kya hai jism ka aks-e-latif hai ye aur baat hai ki juda nam rakh diya muflis ko ahl-e-zar ne bhi kya kiya diye fareb apni jafa ka hukm-e-khuda nam rakh diya