ba-tarz-e-khwa sajaani padi hai aakhir-kar nai zamin banani padi hai aakhir-kar tapish ne jis ki mujhe kimiya banana tha mujhe wo aag bujhani padi hai aakhir-kar bahut dinon se ye mitti padi thi ek jagah har ek samt udani padi hai aakhir-kar jahan pe qasr banae gae the kaghaz ke wahan se rakh uthani padi hai aakhir-kar wo panw bhige hue dekhne ki khwahish mein chaman mein os bichhani padi hai aakhir-kar mere badan ki ziya badh gai thi suraj se lahu mein raat milani padi hai aakhir-kar zamin pe dagh bahut pad gae the khun ke dagh falak ko barf girani padi hai aakhir-kar