ajab tarah ke kamal karne bhi aa gae hain bichhad ke ab mah o sal karne bhi aa gae hain jo meri baaton ko manta tha bila-taamul suno use ab sawal karne bhi aa gae hain suna hai logon se ab wo milta hai muskura kar use talluq bahaal karne bhi aa gae hain wo shakhs jis ki khushi ka bais thin meri baaten use ab un par malal karne bhi aa gae hain suna hai ab rasta badalta hai wo achanak use to rahi nidhaal karne bhi aa gae hain