chale the ghar se to hum dard ki dawa ke liye pade hain raste mein tere magar dua ke liye mabaada shab ki siyahi zamin ko kha jae naqab rukh se utha do zara khuda ke liye koi charagh to aandhi se bach ke niklega jala diye hain bahut se diye hawa ke liye yahan to roz nai aafaton se pala hai 'husain' kitne ab aaenge karbala ke liye wo jis ne tur pe musa ko be-qarar kiya tadap rahi hai nazar phir usi ada ke liye zamin ka sina to shoalon ki misl jalta raha taras ke chal diye 'ejaz' ek ghata ke liye