ba-zahir ye wahi milne bichhadne ki hikayat hai yahan lekin gharon ke bhi ujadne ki hikayat hai sipah-salar kuchh likhta hai taswir-e-hazimat mein magar ye to adu ke panw padne ki hikayat hai kaniz-e-be-nawa ne ek shahzade ko chaha kyun mohabbat zinda diwaron mein gadne ki hikayat hai khuli aankhen to kandhon par kitabon se bhara basta ladakpan ab kahan titli pakadne ki hikayat hai kai sadiyan ganwa din hum ne kam-koshi ki rahat mein bahut hi dukh bhari apne bichhadne ki hikayat hai parai khak ne un par kahin banhen na phailain ye hijrat ka safar jad se ukhadne ki hikayat hai qadam kab tak jame rahte mere sailab ki zad mein meri be-chaargi tinke pakadne ki hikayat hai