badan ko chaak ana ko burida kya karna lahu se rizq bhala ab kashid kya karna ye be-hisi to mere ghar ka saneha thahri gawah is mein koi chashm-did kya karna sharik-e-habs hawa ho to marka kaisa fasil-e-shahr phir is mein shahid kya karna ye aaina to kabhi munakis nahin hoga libas-e-khalq badal kar mazid kya karna