aur ek shahr hai kya shahr-e-guman se aage hum ko jaana hai bahut dur yahan se aage gardish-e-pa kisi manzil pe thaharti hi nahin dil magar badhta nahin ku-e-butan se aage gunjti rahti hain sahil ki sadaen har-dam hum ne dekha hi nahin mauj-e-rawan se aage muddaa apna kisi shakhs pe zahir na hua koi jata hi nahin tarz-e-bayan se aage zakhm qael hon bhala chaaragari ke kaise saf-e-dushman hai saf-e-chaara-garan se aage be-sabab hum se khafa ho gai duniya 'alam' hum ne likkha hai kahan qissa-e-jaan se aage