be-rang be-nishan balaon ki zad mein hain mere sabhi charagh hawaon ki zad mein hain bhigi hui hawaen badan chumne lagin ab qafile hamare ghataon ki zad mein hain kat kat ke gir rahi hain lawen ju-e-khauf mein raushan charagh tera fazaon ki zad mein hain harf-e-ghalat ki tarah mite jate hain nuqush rahen tamam rahnumaon ki zad mein hain binai ja rahi hai mah-o-aftab ki aaine shash jihat ke khalaon ki zad mein hain kashkol be-talab ki kashish kaam aa gai sare buland-o-past duaon ki zad mein hain hairat sulag rahi hai har ek shakh-e-did par jangal tamam shoala-nawaon ki zad mein hain 'yawar' meri ye aankhen kisi ke jamal ki be-dagh ujli ujli ridaon ki zad mein hain