wo rahen jin se abhi tak nahin guzar mera laga hua hai inhin raston ko dar mera na jaane kaun tha jis ne mujhe bachaya hai mujhe khabar bhi na thi jal raha tha ghar mera nahin hai bojh mere nam par manasib ka main aadmi hun taaruf hai mukhtasar mera ganwa ke zat ko laya hun zindagi ki khabar meri suno ki hawala hai mo'tabar mera bhatak raha hun abhi zindagi ke sahra mein khabar nahin ki kahan khatm ho safar mera