ajib dard ka rishta tha sab ke sab roe shajar gira to parinde tamam shab roe kisi ka bhi na charaghon ki samt dhyan gaya shab-e-nashat wo kab kab bujhe the kab roe hazar girya ke pahlu nikalne wale hain use kaho ki wo yunhi na be-sabab roe hamare zad-e-safar mein bhi dard rakkha gaya so hum bhi tut ke roe safar mein jab roe kisi ki aankh hi bhigi na sail-e-dard gaya tumhaari yaad mein ab ke baras ajab roe tere khayal ki lau hi safar mein kaam aai mere charagh to lagta tha roe ab roe kuchh apna dard hi 'tariq'-naim aisa tha baghair mausam-e-girya bhi hum ghazab roe