ajib dhang se main ne yahan guzara kiya ki dil ko barf kiya zehn ko sharara kiya mizaj-e-dard ko sab lafz bhi qubul na the kisi kisi ko tere gham ka istiara kiya phir us ke ashk bhi us ko ada na kar pae wo dukh jo us ke tabassum ne aashkara kiya ki jaise aankh ke lagte hi khul gain aankhen nigah-e-jaan ne bahut dur tak nazara kiya hamein bhi dekh ki tajsim-e-nau se guzre hain badan ko shisha kiya dil ko sang-para kiya ajab mizaj tha tanhai-ashna ki 'saud' khud apna sath bhi mushkil se hi gawara kiya