koi shai dube to dariya mein lahar jage hai kab azan murgh ke dene se sahar jage hai kankari mare se pani mein asar jage hai ek zara khwahish-e-parwaz se par jage hai un ko mimbar ki bulandi se tashaffi na hui jin ki aawaz pe tahrik ka sar jage hai nind ki kai se bojhal hai har ek aankh magar sang ke khauf se shishe ka nagar jage hai lazzat-e-dard samundar se nahin sip se puchh jis ki aaghosh mein qatre se guhar jage hai rang-o-roghan ke badalne se bhala kya hasil nannhi kilkariyan jage hai to ghar jage hai phir khanghalne ko hai kya khitta-e-na-dida koi phir kaf-e-pa mein sar-e-shuq-e-safar jage hai ghar ke pichhwade mahakti hui sargoshi se kitne bite hue lamhon ka khandar jage hai