ajib dhund hai aaankhon ko sujhta bhi nahin abhi to din ka waraq thik se jala bhi nahin ye kis hisar mein sanson ne kas diya hai mujhe ye kaisa ghar hai nikalne ka rasta bhi nahin ye kaisa dukh hai jo rota hai siskiyan le kar khandar mein kaun hai ru-posh bolta bhi nahin ajib dard ka rishta hai ek azab hai ye jise bhula diya main ne wo bhulta bhi nahin mujhe bhi dekh mere hausle bhi dekh zara mera to koi nahin tu nahin khuda bhi nahin har ek shab koi palkon ko aa ke sita hai wo mera kaun hai puchhun to bolta bhi nahin