shadan na ho gar mujh pe kada waqt pada hai tu zad mein hai jis waqt ki us se bhi kada hai hai dhup mere sar pe magar tu bhi meri jaan girti hui diwar ke sae mein khada hai kya shan hai wallah husain-ibn-e-ali ki sar kat gaya qad phir bhi harifon se bada hai hum lash samajh kar jise phenk aae the wo shakhs chattan ki manind alam ban ke khada hai han tut gaya wo bhi shajar tha jo tanawar kuchh der magar tund hawaon se lada hai