koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-khwari nahin sau maraz hain aur ba-zahir koi bimari nahin har qadam par bagh-e-alam mein bichha hai dam-e-husn kaun aisa hai jise zauq-e-giraftari nahin dekhe gar ghaur se duniya hai ghaflat ka tilism ye bhi khwab-e-ishq hai furqat se bedari nahin jaan le kar bhi jo hath aae to arzan jaaniye sahal aisi jins-e-ulfat ki kharidari nahin ishq ki nakaamiyon ne is qadar khincha hai tul mere gham-khwaron ko ab yara-e-gham-khwari nahin mujh se zabt-e-dard-e-ulfat ki shikayat hai fuzul ai dil-e-nadan tujhe ehsas-e-khud-dari nahin meri daulat dekh kar kyun tum ne thandi sans li be-kason par rasm-e-ain-e-sitamgari nahin har taraf se ye sada aati hai mulk-e-husn mein ye wo duniya hai jahan rasm-e-wafadari nahin ho gaya shayad ki sarf-e-soz-e-gham sab khun-e-dil aansuon ka ab wo dariya aankh se jari nahin us ko rahm aae kahan ye na-umidi mein umid dil ko khush karna hai shaghl-e-girya-o-zari nahin hum hain chup baithe hue lekin hai dil masruf-e-ishq is adim-ul-fursati ka nam bekari nahin band aaankhon se nazar aati hai har shai dahr ki aalam-e-ruya mein farq-e-khwab-o-bedari nahin