dekhun wo karti hai ab ke alam-arai ki main haarta kaun hai is jang mein tanhai ki main bhul baitha hun ki aflak bhi kuchh hote hain apni wusat mein mili mujh ko wo gahrai ki main aaj tak apni rihai ki dua karta hun ab ke zanjir hawaon ne wo pahnai ki main khud ko pane laga tanhai ki tariki mein is qadar shokh hua rang-e-shanasai ki main rang-e-tabir andheron se utha leta hun kaun khwabon ko ata karta hai binai ki main gosha-e-dasht mein yunhi to nahin baitha hun safar aasan karega koi saudai ki main us ki har baat pe iman nahin rakhta hun kuchh to tahrir pe ho hashiya-arai ki main rakhne wala hun qadam qarya-e-shohrat mein 'hasan' hamla-awar na kahin ho sag-e-ruswai ki main