ajib husn hai un surkh surkh galon mein mai-e-do-atisha bhar di hai do piyalon mein sunen jo aap to sona haram ho jae tamam raat guzarti hai jin khayalon mein ummid o yas ne jhagde mein dal rakkha hai na jine walon mein hum hain na marne walon mein chaman mein gul bhi hina bhi magar nasib ki baat koi to sar chadhe koi ho paemalon mein nasim-e-shama-e-lahad ko zara bachae hue yahi hai ek gharibon ke rone walon mein yahan khizan ka na khatka na khauf gulchin ka bahaar gul mein rahe ya tumhaare galon mein nahin hai lutf ki khalwat mein ghair shamil ho utha do shama ko ye bhi hai jalne walon mein chubhega kya dil-e-pur-khun ka raaz aankhon se jo hoga shishe mein aaega wo piyalon mein hazar shukr ki hum naqs mein hue kaamil 'jalil' rah gai baat apni zi-kamalon mein