koi sada na dur talak naqsh-e-pa koi wo mod hai ki milta nahin rasta koi han dil ki dhadkanon se sada chhin lo magar chup-chap hi jo aa ke yahan bas gaya koi mana ki tere dar pe jhukin aa ke manzilen par hum sa bhi mila tujhe sach sach bata, koi dil ki zaban bahut hai koi ho jo ahl-e-dil honton se kya batae bhala muddaa koi aankhen jo band kin to wo ubhre hain aaftab bahar ki dhup se na raha wasta koi hairan ho ke dil se ye puchha nigah ne kya waqai mila na tujhe aashna koi ya aasman tak nahin jati meri nawa ya aasman pe sunta nahin hai nawa koi jitne khayal utne hi rangon ke daere milta nahin kisi se kahin silsila koi us sada-dil ko kya khabar is unch-nich ki 'anjum' ke pas ja ke bane kya bada koi