ajib intishaar hai zamin se aasman tak ghubar hi ghubar hai zamin se aasman tak wabaen qaht zalzale lapak rahe hain pai-ba-pai ye kis ka eqtidar hai zamin se aasman tak bisat-e-khak bhi tapan khala bhi hai dhuan dhuan bas ek azab-e-nar hai zamin se aasman tak giraft panja-e-fana mein khasta-haal-o-khun-chakan hayat-e-mustaar hai zamin se aasman tak fughan-o-ashk-o-ah ka jigar-gudaz silsila ba-lutf-e-kirdigar hai zamin se aasman tak mata-e-jabr-e-zindagi hamein bhi jis ne ki ata usi ka ikhtiyar hai zamin se aasman tak faraaz-e-arsh ke makin shikasta-dil hamin nahin har ek be-qarar hai zamin se aasman tak