sab jit kar bhi mat se aage nahin gaya wo shakhs meri zat se aage nahin gaya na-mumkinat se hi tha aaghaz-e-zindagi buzdil to mumkinat se aage nahin gaya thahra hai waqt aaj bhi bichhde the hum jahan ek pal bhi gham ki raat se aage nahin gaya umron ka intizar wo jholi mein dal kar do-chaar pal ke sath se aage nahin gaya gham hijr ka hai ya use shauq-e-visal hai insan gham-e-hayat se aage nahin gaya jitne lage hain zakhm mere doston ke hain dushman to sirf ghat se aage nahin gaya mitti ke hath ishq ki mitti palid hai tu bhi hawas ki baat se aage nahin gaya hathon mein hath dal ke jaana tha chand par afsos chand-raat se aage nahin gaya main dur se hi dekh ke khush ho gai use aur wo bhi khwahishat se aage nahin gaya