ajib kaifiyat aakhir talak rahi dil ki faraaz-e-dar mein bhi justuju thi manzil ki wo husn jis se mila hai mujhe shuur-e-wafa khuda nahin tha to kyun wahi-e-ishq nazil ki tarashe kitne hi but aazari ke fan ne magar mili na ek bhi surat tere muqabil ki ab aankhen band hain taki koi samajh na sake meri nigah mein taswir hogi qatil ki dimagh dida o dil sab ne rokna chaha magar junun ne meri har dalil baatil ki isi ko kahte hain sahil pe rah ke tishna-labi talash hai teri mahfil mein jaan-e-mahfil ki ye baat sach hai ki marna sabhi ko hai lekin alag hi hoti hai lazzat nigah-e-qatil ki tha rahbaron pe bharosa to ab bhatakta hun mujhe khabar hi nahin thi fareb-e-manzil ki miyan 'shahid' ye mana ki tum bhi shaer ho magar batao ki haq aagahi bhi hasil ki